Phir kai gali gali tabaah,
Thokare(n) sab ki khaye kyun.
Dil ko jo aql de khuda,
Teri gali se jaaye kyun.
Rukhsate qaafila ka shor,
Gash se humain uthaye kyun.
Sotay hain unke saaye mein,
Koi humain jagaaye kyun.
Baar na the Habeeb ko,
Paalte hii gareeb ko.
Royen jo ab naseeb ko,
Chain kaho ganwaye kyun.
Yaade Huzoor ki qasam,
Gaflate aish hai sitam.
Khoob hai qaide gham mein,
Hum koi humein chudaye kyun.
Hum to hain aap dil figaar,
Gham mein hansi hai na gawaar.
Ched ke gul ko nau bahaar,
Khoon humein rulaye kyun.
Yanto yun hi tadap ke jaaye(n),
Ya wohi daam se chudaaye(n).
Minnate gair kyun uthaye(n),
Koi taras jataaye kyun.
Khush rahe gul se andaleeb,
Khaare haram mujhe naseeb.
Meri bala bhi zikr par,
Phool ke khaar khaye kyun.
Garde malaal agar dhule,
Dil ki kali agar khile.
Barq se aankh kyun jale,
Rone pe muskuraye kyun.
Jaane safar naseeb ko,
Kis ne kaha maze se ho.
Khatka agar sehar ka ho,
Shaam se maut aaye kyun.
Ab to na rok aye ghani,
Aadate sag bigad gayi.
Mere kareem pehle hi,
lukmaye tar khilaye kyun.
Raahe Nabi me kya kami,
Farshe bayaaz deeda ki.
Chadare zil hai malgaji,
Zere qadam bichaye kyun.
Sange dare Huzoor se,
Hum ko khuda na sabr de.
Jaana hai sar ko jaa chuke,
Dil ko karaar aaye kyun.
Hai to Raza niraa sitam juram,
Pe gar lajaaye hum.
Koi bajaaye soze gham,
Saaze tarab bajaaye kyun.