Kya
khabar kya saza mujh ko milti - Mere Aqa ne izzat Bachali
Farde isiyan meri mujh se le kar - Kali Kamli mein Apni Chupali
Woh aata par ata karne wale - Aur ham bhi nahin Talne wale
Jaisi deodi he waise bhikari - Jaisa Data hein waise Sawali
Mein ghada hoon magar kiske dar ka - Woh jo Sultan-e-Kono
Makan hein
Yeh Ghulami bari Mustanad he - Mere sar par he Taj-e-Bilali
Mein Madine se kya agaya hun - Zindagi jaise bujhsi gayi
hai
Ghar ke andar faza soni soni - Ghar key Bahar sama khali khali
Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa - Ab Safar ki zuroorat
nahin hai
Unke qadmon mein meri jabeen hai - Aur haathon mein Roze ki Jali
Mein faqat naam lewa hun Unka - Unki tawseef mein kya
karoonga
Mein na Iqbal, Khusro na Saadi - Mein na Qudsi na Jami na Hali
No comments:
Post a Comment