Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi
Takte
rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke chehre ko
Jab poocha to kehne lage woh, surat hi kuch aisi thi
Bolo eh
Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
Toh kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi
Duniya
me sarkar ki naat parte rahe har ik lamha
Qabr me bhi thi naat labon parr, Aadat hi kuch aisi thi
Akbar-o-asghar
aur yeh ghazi deen pe ware has has kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi
Paas
bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, chahat hi kuch aisi thi
Qabr
mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, nisbat hi kuch aisi thi
Sab Pe Karam Farmayenge Lyrics In Hindi
ReplyDeleteMasha allah