Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor
jante hain
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain
Khuda ko dekha nahin aur eik maan
liya
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein
Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan
nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain
Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko
dekha hai
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain
Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai
unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain
Kai unke haath mein kya kya
tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain
Woh mominoon ki to janoon say bhi
kareeb huye
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain
Isiliye to sulaya hai apne pehlu
mein
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain
Umar nay tan say juda kar diya tha
sar jis ka
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain
Nabi ka faisla na maan kar woh jaan
say gaya
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain
Wohi hai paikar e sharm o haiya o
zul nuraian
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain
Hain jiske moula huzoor uske hain
Ali moula
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain
Yeh khud shaheed hain, betay nawasay
potay shaheed
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain
Main unki baat karoon yeh nahin meri
auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain
Jina mein kaun hain sardaar
nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.
Malaika ne kiya youn to sajda Adam
ko,
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.
Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o
Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain
Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha
kaisa
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain
Milay thay rah mein 9 bar kis liye
Musa
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain
Main chup khara houn Mawaja pay sar
jhukaye huye
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain
Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon
ko
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain
Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata
kiya kiya
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain
Nahi hai zaad e safar pass jin
ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain
Haran ne oonth ne chiryoon ne ki
yehi faryaad
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante
hain.
Nahi hai zaad e safar pass jin
ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain
Teri aata se Khudaya, huzoor jaante
hain
Main unki baat karoun yeh nahin meri
auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain
Teri aata se Khudaya, huzoor jaante
hain