Nabi Ka Jashan Aaya Chand Taron Jhoomte Rehna Naat Lyrics

Marhaba Ya Mustafa, Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa, Marhaba Ya Mustafa

Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna
Nabi Ke Naam Per Ae Naamdaaron Jhoomtay Rehna

Jahaan Mein Noor Leykar Noor Wala Aanay Wala Hai
Meray Hamraah Tum Bhi Dil Ke Taaron Jhoomtay Rehna

Galli Koochay Sajadena Harray Jhanday Lagadena
Taqaaza Ishq Ka Hai Mere Yaaron Jhoomtay Rehna

Nabi-e-Sarwar-e-Konain Ki Aamad Ke Lamhoon Mein
Durood-e-Pak Parhtay Parhtay Saaron Jhoomte Rehna

Musawaat-o-Akhuwat Ka Payaam-e-Dil Nasheen Laaye
Khushi Mein Aey Ghareebon Maaldaaron Jhoomte Rehna

Woh Aaye Gham Qaday Mein Ek Khushi Ki Roshni Phooti
Khuda Ke Shukar Mein Aey Gham Ke Maaron Jhoomte Rehna

Khushi Ik Dil Pe Hai Chaayei Wiladat Ki Ghari Aayei  
Arey Aey Gul A’zaro Maah Paaron Jhoomte Rehna

Bujhay Na Ishq-e-Ahmed Ki Agan Qalb-e-Ujagar Se  

Dharakna Aur Ae Dil Ke Shararon Jhoomte Rehna

Munawwar meri Ankhon ko mere Shamsudduha Karde lyrics

Munawwar Meri Aankho Ko Mere Shamshudduha Kar De
Ghamo Ko Dhoop Me Wo Saayae Zulfe Dota Kar De

Jahaan Bani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De
Nabi Mukhtare Qul Hai Jiss Ko Jo Chahe Ataa Kar De

Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam-me Kya Se Kya Kar De
Jameen Ko Aasmaa Kar De Suraiya Ko Sara Kar De

Fazaa Me Udne Waale Yu Na Itraye Nida Kar De
Wo Jab Chahe Jise Chahe Usme Farma Rawa Kar De

Meri Mushkil Ko Yu Aasaa Mere Muskil Kusha Kar De
Har Aik Mauje Balaa Ko Mere Maula Nakhuda Kar De

Ataa Ho Bekhudi Mujhko Khudi Meri Hawa Kar De
Mujhe Yu Apni Ulfat Me Mere Maula Fanaa Kar De

Jahaan Me Aam Paighame Shahe Ahmad Raza Kar De
Palat Kar Peeche Dekhe Fir Se Tajdeede Wafa Kar De

Nabi Se Jo Ho Begana Use Dil Se Juda Kar De
Pidar Madar Biradar Maalo Jaan Un Par Fida Kar DeKisi ko Wo Hasaate Hain Kisi Ko Wo Rulaate Hain
Wo Yu Hi Aazmate Hain Wo Ab To Faisla Kar De

Gile Taibah Me Mil Jau Gulome Milke Khiljau
Hayaate Jaavedaani Se Mujhe Yu Aashna Kar De

Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar Mere Yaawar Hain Wo Yaawar
Balao Ko Meri Jo Khud Giraftare Balaa Kar De

Har Waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho Naat lyrics



Har waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghadi ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chit'thi mili ho

Ay shahenshah e madina assalat o wassalam lyrics (Salam)

Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam

rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam

sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam

mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam

mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam

jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam

Allah Jab Kise Se Naraz Hota hein Tu kya hota hein Emotional Bayan by Mohammed Raza Saqib Mustafai



Hazart-e-Omer ki Hukomat Emotional Bayan by Raza Saqib Mustafai



Shah E Taiba ke Naam do kadam saath saath Naat lyrics & MP3




Shah E taiba ke naam do kadam sath sath
Mera aqa ke naam do kadam sath sath

Gunj uthu gunj uthu haq ke shaedai’yo
Ab ne U chup rahu sare milkey kahu

Gun-gunate chalo Muskarte chalo
Narye ya mohammad Lagete chalo

Ao mil jhul ke shana bashane chale
dekha le aaj sare zamane chala

Khoti qismath banye (jagey) chalo sath sath
Mustafa ko manye chole sath sath

Karwane mohammad Rokega nahi
Kamli wale ka jhande jhukega nahi

Jashne milad hein kya haseen bath
Sab kay daman khusiyu ki khairath hai

Momino unke amad ke charcha karo
Apna sab kuch mohammad pe wara karo

Dalde apne naslou ko iss kam per
Sab nichawar kare haq ke paigam ko

Mustafa ke gharana salamat Rahe
Syeda ke gharane salamat Rahe
Murtaza ke gharne salamat Rahe
Bakhshisu ka thikna salamat Rahe

Kis kader ham pe moula ke Ahsan
Apne hatou mein aqa ka daman Hein

Nafrato ko mohabbat ma Dahlege hum
Ao sab ko gale se lage ge hum

Bil yakeen hum ko jannat main le jaygi
qabar main bhi yahi geet kaam Aegi

Khalb Arshad ki hain bas yahi Elteja
Har musalman sipahi bane deen kay

Mast bequth hain sab jasne Ghous-e-paak
Hyderi hain sabhi Hyderabad Main J

Apnee jano ki parwah karte nahi
Hum hussani hain qatil se darte nahi