Phir kai gali gali Tabaah Thokarein Sab ki Khay kyu Lyrics

 Phir kai gali gali tabaah,
Thokare(n) sab ki khaye kyun.
Dil ko jo aql de khuda,
Teri gali se jaaye kyun.

Rukhsate qaafila ka shor,
Gash se humain uthaye kyun.
Sotay hain unke saaye mein,
Koi humain jagaaye kyun.

Baar na the Habeeb ko,
Paalte hii gareeb ko.
Royen jo ab naseeb ko,
Chain kaho ganwaye kyun.

Yaade Huzoor ki qasam,
Gaflate aish hai sitam.
Khoob hai qaide gham mein,
Hum koi humein chudaye kyun.

Hum to hain aap dil figaar,
Gham mein hansi hai na gawaar.
Ched ke gul ko nau bahaar,
Khoon humein rulaye kyun.

Yanto yun hi tadap ke jaaye(n),
Ya wohi daam se chudaaye(n).
Minnate gair kyun uthaye(n),
Koi  taras jataaye kyun.

Khush rahe gul se andaleeb,
Khaare haram mujhe naseeb.
Meri bala bhi zikr par,
Phool ke khaar khaye kyun.

Garde malaal agar dhule,
Dil ki kali agar khile.
Barq se aankh kyun jale,
Rone pe muskuraye kyun.

Jaane safar naseeb ko,
Kis ne kaha maze se ho.
Khatka agar sehar ka ho,
Shaam se maut aaye kyun.

Ab to na rok aye ghani,
Aadate sag bigad gayi.
Mere kareem pehle hi,
lukmaye tar khilaye kyun.

Raahe Nabi me kya kami,
Farshe bayaaz deeda ki.
Chadare zil hai malgaji,
Zere qadam bichaye kyun.

Sange dare Huzoor se,
Hum ko khuda na sabr de.
Jaana hai sar ko jaa chuke,
Dil ko karaar aaye kyun.

Hai to Raza niraa sitam juram,
Pe gar lajaaye hum.
Koi bajaaye soze gham,
Saaze tarab bajaaye kyun.

Yaad-E-Mustafa Aisi bas gayi he Seene mein lyrics

 


Yaad-E-Mustafa aisi bas gayi he seene mein
Jism ho kahin apna dil to hai Madine mein

Kon he ye deewana kis ka he ye deewana
Hashar mein bhi kehta he jaana he Madine mein

Kon si jaga un ke aashiqon say khaali he
Har jaga he parwane shamma he Madine mein

Mere kamli wale ka ghar to he Madine mein
Haa magar wo rehte hein aashiqon ke seene mein

Baad mere marne kay har zubaan pay charcha tha
Aadmi to acha tha margaya Madine mein

Kaash un ke kuuche se layenge saba peghaam
Chal tujhe bulaate mein Mustafa Madine mein

Kya Khabar kya Saza Mujh ko Milti Lyrics

 Kya khabar kya saza mujh ko milti - Mere Aqa ne izzat Bachali
Farde isiyan meri mujh se le kar - Kali Kamli mein Apni Chupali

Woh aata par ata karne wale - Aur ham bhi nahin Talne wale
Jaisi deodi he waise bhikari - Jaisa Data hein waise Sawali

Mein ghada hoon magar kiske dar ka - Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein
Yeh Ghulami bari Mustanad he - Mere sar par he Taj-e-Bilali

Mein Madine se kya agaya hun -  Zindagi jaise bujhsi gayi hai
Ghar ke andar faza soni soni - Ghar key Bahar sama khali khali

Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa - Ab Safar ki zuroorat nahin hai
Unke qadmon mein meri jabeen hai - Aur haathon mein Roze ki Jali

Mein faqat naam lewa hun Unka - Unki tawseef mein kya karoonga
Mein na Iqbal, Khusro na Saadi -  Mein na Qudsi na Jami na Hali

Koye Nabi se Aana sa ke ham - Rahat hi kuch aisi thi

 Koo-e-Nabi se aana sa ke ham,rahat hi kuch aisi thi
Yaad rah

Koye Nabi se Aana sa ke ham Rahat hi kuch aisi thi
Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thina jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi

Takte rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke Chehre ko
Jab poocha to kehne lage woh, Surat hi kuch aisi thi

Bolo ae Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
To kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi

Duniya me sarkar ki naat parte rahe har ek lamha
Qabr me bhi thi naat labon parr, aadat hi kuch aisi thi

Akbar-o-asghar aur yeh ghazi deen pe ware hass hass kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi

Paas bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, Chahat hi kuch aisi thi

Qabr mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, Nisbat hi kuch aisi thi

Tera Naam Khwaja Moinuddin Naat Lyrics (Manqabat)

Tera naam Khwaja Moinuddin
Tu Rasool e Paak ki aal hai
Teri shaan Khawaj e Khwajgan
Tujhe bekaso ka khayaal hai

Mera bigda waqt sawar do
Mere Khwaja mujhko nawaz do
Teri ek nigaah ki baat hai
Meri zindagi ka sawal hai

Main Ghada e Khwaja e Chist hu
Mujhe is ghadai pe naaz hai
Mera naaz Khwaja pe kyun na ho
Mera Khwaja banda nawaaz hai

Mera khwaja ataa e rasool hai
Woh Bahaar e Chisht ka phool hai
Woh Bahar e Gulshan e Fatima
Chaman e Ali ka nihaal hai

Yaha bheek milti hai be guma
Yeh bade sakhi ka hai aastan
Yaha sab ki bharti hai jholiya
Yeh Dar e Garib Nawaz hai