Islamic Shayari

RAMADAN SPECIAL

Be Zubanou ko jab Zaban deta hein
Pardh ne ko phir wo Quran Date hein
Baksh ne pe aye jab Ummat kay Gunhaon ko
Tohfe main gunahgaron ko Ramzan Deta hai J

Aasman pe naya chand hai aaya
Sara aalam khushi se jagmagaya
ho rahi hai saher-o-eftar ki tayyari
saaj rahi hai duaon ki sawari

Poore hon aapke her dilke armaan
Mubarak ho aap sab ko pyaara RAMZAN 
J

Raat ko naya chand mubarak
Chand ko chandni mubarak
Falak ko sitare mubarak
Sitaroon ko bulandi mubarak
Aur aap sab ko hamari taraf se
”RAMADAN MUBARAK”

Jaise hi Ramadan ka Chand Dekha
Aap Ki Liye Dua Maangi
Na Jaane Kuch yaad hi nhi aaya
Sirf Aap Ki Yaad Aayi..

Chand ne asmaan se elaan bheja hai
Farishto ne Arsh se paigaam bheja hai
Loot lo jitna loot sakte ho Nekiyan
Allah ne hamare liye Ramzan bheja hai.

Zikar se dil ko aabad Karna.
Gunahon se khud ko paak Karna.
Hamari bas itni si guzarish hai ka.
Ramzan ka Maheeny main humen bhi
Apni duaon main yaad rakhna.

Rozdaar ki har dua maqbul hoti hai.
Magar ek dua rozdar ki qubul nahi hoti,
wo ye ke..
‘ya khuda iftaar ka waqt jaldi hojaye’

Apne doston ko main kaise samjaon,
Ki mohabbat message karne se nahi…
Iftar karwaane se bhi hoti hai. J

Waqt tu parindy ki terhan he udah jayega,
Gaya waqt phir nahi kabhi aye ga
Karlo dil bhar kya naykian Ramzan main,
Ramzan tu Mehmaan hai chala jayega!

Gul Ne Gulshan Se Gul Faam Bheja Hai,
Sitaroon Ne Asmaan Se Salam Bheja Hai,
Mubarak Ho Apko Ramadan Ka Mahina,

Ye Paigham Hamnai Sirf Apko Bheja Hai





NASEEB SHAYARI

Bohat Khush Naseeb huan
Tabhi Nabi Ka Ummati Hun J

Jo Naseeb mein hai
Wo Chal kar Ayega
               or
Jo Naseeb Mein Nahin
Wo Ae kar bhi chale jayega..

Na kar naseeb se itne gile
          Aye Insaan !
jab Allah Razi Hota Hai tou
Har Cheez Mil Jati Hein… J

Naseeb se Zayeda Qeemti Dua hoti Hein
Kyu kay Jab Zindagi Main Sab kuch Badal jaye
Tab insaan Ko Dua hi Bachti Hein
Jo Naseeb Badal Deti Hai

Waqt Sikha deta hai insaan ko Falsafa Zindagi ka
Phir tau, Naseeb kya, Lakeer kya Aur taqdeer kya

Subah Hoti Hai Shaam Hoti Hai
Umar yun hi tamaam Hoti hai
mir taqi meer

      Aye Insaan !
Itni si baat tu samajh kyu nahi sakta
Tera naseeb ka likha
 tujhsay koi le nahi sakta

Naseeb ka likha mil
kar hi rehta hai
kab kahan aur kaise
ya sirf Allah jaanta hain

Naseeb Beshak Allah kay hath main hai
lekin dua ka ikhtiyar us nay insaan ko diya hai

Muhabbat main har jane per loog
Naseeb ki baat karte hain
Kabhi Khuda se Muhabbat ki hoti tau
Ya Shekayat ne hoti

Allah per Hamesha Bharosa rakho Kyoki
Allah wo nahi detha jo App ko accha lagta hai
Belka wo detha hai jo app kay liya accha hota hai J

Bohat Khush Naseeb huan
Tabhi Nabi Ka Ummati Hun J




No comments:

Post a Comment