SARKARE GHOUSE E AZAM NAZRE KARAM KHUDARA MANQABAT LYRICS


Sarkaar e Ghaus E A’zam, Nazre Karam Khudaara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do, Main Faqir Hu Tumhara

Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadqa
Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara

Mira Bane Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai
Sab Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara

Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya
Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara

Duniya Mei Sab Ka Koi, Koi To Aasra Hai
Mera Vajuz Tumhaare, Koi Nahi Sahaara

Yeh Adaa E Dastgiri, Koi Mere Dil Se Puche
Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara

Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, Jo Bana Liya Hai Apna
Kahaa Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara

Sunte Hain ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai Naat Lyrics

Sunte hain ki mehshar mein sirf unki rasai hai
Gar unki rasaaee hai lo jab to ban aayi hai


Machla hai ki rehmat ne ummeed bandhai hai
Kya baat teri mujrim kya baat banai hai


Sab ne safe mehshar mein lalkaar diya hum ko
Aye bekason ke Aaqa ab teri duhai hai


Yun to sab unhi ka hai par dil ki agar poocho
Yeh toote hue dil hi khaas unki kamai hai


Zaair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyaare
Uth mere akele chal kya der lagaaee hai


Baazare amal mein toh sauda na bana apna
Sarkar karam tujh mein aibee ki samai hai


Girte huwo ko muzda sajde mein gire Maula
Ro Ro ke shafa’at ki tamheed uthai hai


Aye dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi uth
Dum ghutne laga zaalim kya dhooni ramai hai


Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dhak do
Muh dekh ke kya hoga parde mein bhalai hai


Ab aap hi sambhalein toh kaam apne sambhal jaayein
Humne to kamai sab khelon mein ganwai hai


Aye ishq tere sadqe jalne se choote saste
Joh aag bujha degi woh aag lagai hai

Hirso hawase bad se dil tu bhi sitam kar le
Tu hi nahi begana dunya hi parai hai


Hum dil jale hain kiske haat fitnon ke parkaale
Kyun foonk du ik uf se kya aag lagai hai


Taiba na sahi Afzal Makkah hi bada zaahid
Hum ishq ke bande hain kyun baat badhai hai


Matla mein yeh shak kya tha wallah Raza wallah
Sirf unki rasai hai sirf unki rasai hai

Pade Mujh Par na Kuch Iftaad Ya Ghouse Manqbat Lyrics

Pade mujh par na kuch iftaad Ya Ghous
Madad par ho teri Imdaad Ya Ghous


Mere dil me base jalwe tumhare
Yeh viraana bane Baghdad Ya Ghous


Na bhoolun bhool kar bhi yaad teri
Na yaad aaye kisi ki yaad Ya Ghous


Mureedi La Takhaf farmaan tera woh
Balaon me hai yeh naashad Ya Ghous


Gale tak aa gaya sailaab gum ka
Chala Mann aayiye fariyaad Ya Ghous


Andheri raat jungle mai akela
Madad ka waqt hai fariyaad Ya Ghous


Khila do Ghuncha e Khaatir ke tum ho
Bahar e Gulshan e Ejaad Ya Ghous


Mere gum ki kahani aap sunle
Kahun kisse mai rudaad Ya Ghous


Karoge kab tak acha mujh bure ko
Mere haq me hai kya irshaad Ya Ghous


Gum e Duniya Gum e Qabron Gum e Hashr
Khudara karde mujhko Shaad Ya Ghous


Hasan mangta hai dede bheek daata
Rahe yeh raaj paatha baad Ya Ghous


Sardar e Auliya ko Hamara Salam Ho (Salam) Manqabat Lyrics

Sardare Auliya ko hamara salam ho
Waliyon ke peshwa ko hamara salam ho


Kis se kahe tu ja ke kahe dil ki dastan
Gum khwar ghum zuda ko hamara salam ho


Chooron ko jisne Qutub o Abdaal kar diya
Aalam ke rehnuma ko hamara salam ho


Baghdad ke shahenshah mere deen ke Moin
Sultane Asfiya ko hamara salam ho


Mujhpe karam kiya mere data karim ne
Uss Dafay e Bala ko hamara salam ho


Illa Takhaf keh ke be khauf kar diya
Sultan e Do jaha ko hamara salam ho



Syed ko bhi suna do muzda shafa ko
Rehbar o Rehnuma ko hamara salam ho

Pukaro Shahe Jilan Ko Pukaro Lyrics Manqabat

Pukaro Shahe Jilan Ko Pukaro
Badal Jayegi Qismat Be Saharo


Mureedi La Takhaf Hai Unka Farmaan
Na Ghabrao Zara bhi Gham Ke Maaro


Yeh Dar Mehboob e Subhani Ka Dar Hai
Bhikari Banke Aao Taajdaron


Tumhe Mushkil Nahi Bighdi Banana
Hamare Kaaj Bhi Meeran Sambhalo


Tumhari Reet Hai Bede Tirana
Meri Naiyya Bhi Meeran Paar Utaaro


Yeh Zarre Koocha e Baghdad ke hai
Karo Sajde Yahan Par Chand Taaro


Rahe Har Dum Khayal e Gaus e Azam
Guzaaro Zindagi Bas Yun Guzaaro


Karo Tum Naam e Meeran Ka Wazifa
Milega Chain Tumko Gham Ke Maaro



Dar e Baghdad Se Milta Hai Sab Kuch
Chalo Sajid Waha Par Daaman Bichaao

Mera Hussain Bagh e Nabuwat ka phool hai Manqabat Lyrics

Mera Hussain Bagh e Nabuwat ka phool hai,
Haider ke isme jaan hai khoon e Batool hai.

Guzra jaha jaha se nawasa rasool ka,
Abtak waha Khuda ke karam ka nuzool hai.

Aisi azeem zaat hai Maula hussain ki,
Jiske liye huzoor ke sajdo me tool hai.

Jiske liye yazeed ne itne sitam kiye,
Woh taaj toh Hussain ke qadmo ki dhool hai.

Duniya me aur kaun hai Shabbir ke siwa,
Aisa sawar jiski sawari Rasool hai.



Yeh Sab Tumhara Karam hai Aaqa ke Baat ab Tak Bani hui hai lyrics Owais Raza Qadri

Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai

Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai

Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai

Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai

Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai

Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai

Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai

Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri ha

Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai

Shehr e Nabi Teri Galiyon ka Naksha hi Kuch Aisa hai Naat lyrics Owais Raza Qadri

Shehre nabi teri galiyo ka nakhsha hi kuch aisa hai
Khuld bhi hai mustaq ziyarat jalwa hi kuch aisa hai

Dil ko sukun de aankh ko thandak rouza hi kuch aisa hai
Farshe zami par arshe bari ho lagta hi kuch aisa hai

Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka ab hosh nahi
Ahle shariyat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai

Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki haalat hai
AAQA ne tasbih bhadhaii Beta hi kuch aisa hai

RAB ke siwa dekha na kisine farshi ho ya arshi ho
Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai

Taaj ko apne qaasa banaa kar haazir hai shaahan e jaha
Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai


Kham hai yaha jhamshid o sikandar is me kya hairani hai
Unke gulaamo ka ai Akhtar rutba hi kuch aisa hai

Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki Naat Lyrics Owais raza Qadri

Noori mehfil pay chadar tanni noor ki,
Noor phela huwa aaj ki raat hai.


Chandni mein hain dubay huwey do jahan,
Kon jalwa numa aaj ki raat hai.


Farsh per dhoom hai, arsh per dhoom hai
Badnasibi hai uski jo mehroom hai,


Phir milay gi yeh shab kisko maloom hai
Aam lutfay Khuda aaj ki raat hai.


Abray rehmat hai mehfil pay chaye huwey
Aasman say malaik hain aaye huey
Khud Muhammed hain tashreef laye huwey
Kis kadar jaan fiza aaj ki raat hai.


Manglo Mang lo chashme tar mang lo
Dard e dil aur husn e nazar manglo


Kamli wale ki nagri mein ghar manglo
Mangnay ka maza aaj ki raat hai.


Momino aaj ganj e sakha lutlo
Lutlo aie marizo shifa lootlo
Asiyo rehmat e Mustafa lootlo
Babay rehmat khula aaj ki raat hai.


Khoob honay do ashkoon ki barsat ko
Do salami Muhammed ki barat ko
Choom lo chum lo aaj ki raat ko
Shab qadar kay guman aaj ki raat hai.



Waqt laye Khuda sabh Madinay chalein
Lutnay rehmatoon kay khazinay chalein
Sabh ki manzil ki janib safinay chalein
Meri sa’aim dua aaj ki raat hai.

Amina bibi ke Gulshan Mein Naat Lyrics (Allah Allah Allahu)

Amina bibi keh gulshan main, aai hai thaza bahaar
Parthay hai Sallallahu wasallam, aaj dar-o-deewar
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Baarah Rabbi ul awwal ko, aayah duur-e-yateem
Maah-e-nabuwwat mehr-e-risalat, saahib-e-khulq-e-azeem
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Hamid-o-Mahmood aur Muhammad  dow jaag ka sardaar
Jaan seh hi pyaara raj dulaara, rahmat ka sarkaar
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Yasin, Ta Ha, kamli waala, Quraan kii tafseer
Hazir-o-Nazir shahid-o-qaasiim, aaya sirajum munir
Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Aey ishq e Nabi Mere Dil mein bhi sama jaana Naat Lyrics (Syed Fasih Uddin Soharwardi)

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana
Mujh ko bhi Muhammad ka deewanah bana jaana

Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa
Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana

Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein
Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana

Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil
Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana

Deedar-e-Muhammad ki hasrat tho rahe baaqi
Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa

Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana
Daagh-e-gham-e-Ahmad sey seeneh ko sajaa jaana

Khusravi Achi Lagi na lyrics Fasih Uddin Soharwardi

Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi

Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi
Un ke kuchey main gaey to zindagi achi lagi

Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagii

Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par
Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii

Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar
Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii

Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii

Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar
Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi

Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi

Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi

Huzoor Agaye hain Lyrics (Falak kay Nazaaro Zameen Ki Baharo) Milad Raza Qadri

Falak ke naazaro, zameen ki bahaaro
Sub Eidein manao Huzoor agaye hain
Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Anokha niraala Woh zee shaan ayaa
Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa
Aray kaj kula’ho aray baadshaho
Nigahein jhukao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Huwaa char su Rahmataun ka ba sayra
Ujaala ujaala’ sawera, sawera
Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki
Mere ghar main aao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke
Fazaun mein naghmaat Salle’Alla ke
Daroodaun ke gajrey, Salamaun ke tohfay
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

 Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Kahaan mai Zahuri kahaan Unki batein
Karam hi karam hain ye din aur ratein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
Yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Ek Roz Hoge janaa Sarkar Ki Gali Main Naat Lyrics

Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main
Ho ga khabi tikanaah sarkar ki gali main

Ankhein tu dekhne ko pehley hi muztarib theen
Dil bhi huwaa ruwanaa sarkar ki gali main

Go paas kuch nahi hai lekhan yaa dekh lay gaa
Ik din hamien zamaanah sarkar ke gali main

Kabhi ho haseen tasawar khabi khud main jaaoon chal kar
Rahe yuunhi aanaa jaanaa sarkar ke gali main

Hain kaheen khazaan ke pehray kaheen do gharhii bahaaray
Mosam sadaa suhana sarkar ke gali main

Dil main nabi ki yaadien lab pe nabi ki na’tein
Jaanaa tu aese jaanaa sarkar ke gali main

Samjhein gey ham Niazii un ki karam nawaazi
Jis din huwey rawaanah sarkar ke gali main

Iss karam ka karoon shukr kay say Adaa Naat Lyrics

Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa,
Jo karam mujh pay mayray nabi nay kiyaa,
May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain,
Mujhko har gham say rab nay baree kar diyaa.

Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa,
Dosto aur maangoo may maula say kya,
Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay,
Apnay mehboob-e-ka ummati kar diyaa.

Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki,
Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki,
Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway,
Aur kissee ko nabi nay ali kar diya

Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain,
Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain,
May gunahgaar tha, bay amal tha magar,
Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa.

Mayray shaahay madina ki kya baat hay,
Un ki dar say millee sab ko khairaat hay,
Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay,

Har gadaa ko sakheenay sakhee kar diya

Balaghal Ula Bhi Kamalihi Kasha fadduja bhi jamali Naat Lyrics

Balaghal ula bikamalihi kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi

Mein buron say laakh bura sahi magar un say he mera waasta
Meri laaj rakhna merai khuda yay teray habeeb ki baat he

Tayray zikr ki he yay barkatayn merai bigray kam sanwar ga-ay
Jahaan teri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he

Teri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he
Tera daykhna meri eid he tera rukh kalaam e majeed he

Ho daruud tujh pay bhi aamina terai chaand par bhi salam ho
Teri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he

He ye aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru
Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he

Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo,
To Bana ke Sarko Qadam Chalo, Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai

Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say, Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se,
Meray Dil Se Ghumbad e Sabz Ka, Yeh Muamla Koi Aur Hai.

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam Lyrics

Mustafa  Jaane   Rehmat Pe Laakho Salaam
Sham-Aey Bazme Hidaayat Pe Laakho Salaam

Jis Ke Aage Sare Sarwaraa Kham Rahe
Us Sare Taaje Rif’at Pe Laakho Salaam

Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyaa
Un Labo Ki Nazaakat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Mimbar Bani, Gardane Auliya
Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakho Salaam

Woh Dahan Jis Ki Har Baat, Wahi-Aey Khuda
Chash’maaey Ilmo Hikmat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Taski Se Rote Huey Hans Pare
Us Tabassum Ki Aadat Pe Laakho Salaam

Noor Ke Chasme Lehraaei, Darya Bahei
Ungliyo Ki Karaamat Pe Laakho Salaam

Kul Jahaa Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qana’at Pe Laakho Salaam

Khaai Qur’aney Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salaam

Allah, Allah, Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakho Salaam

Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubaarak Jama’at Pe Laakho Salaam

Jin Ke Dushman Pe Laa’nat Hai Allah Ki
Un Sab Aih’l-E Mohabbat Pe Laakho Salaam

Mere Ustaad, Maa-Baap, Aur Bhaai Bahen
Aih’l-E Waldo Asirat Pe Laakho Salaam

Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho Salaam

Sham-Aey Bazme ‘Dana Hu’ May Gham Kum Ana
Sharhe Matne Huyyat Pe Laakho Salaam

Jis Se Khaarey KooWey Shiraaey Jaa Bane
Us Zulaaley Halaawat Pe Laakho Salaam

Jis Suhaani Gharee Chamka Taibah Ka Chaand
Oos Dil Afroz Saa’at Pe Laakho Salaam

Kaash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur
Beyjhey Sab unki Shauqat Pe Laakho Salaam

Mujh Sey Khidmat Key Qudsi Kahey Haan RAZA!
Mustafa Jaaney Rehmat Pe Lakhon Salaam

Sab Se Aula Wo Ala Hamara Nabi Naat Lyrics

Sab se aula wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi

Ay Saba Mustafa se Keha Dena Salam Lyrics

Aey Sabaa Mustafa Se Keh Dena
Ghum Ke Maare Salaam Kehte Hai
Yaad Karte Hai Tumko Shamo Sahar
Besahare Salaam Kehte Hai

Allah Allah Huzoor Ki Baate
Marhaba Rango Noor Ki Baate
Chand Jinki Balaye Leta Hai
Aur Taare Salaam Kehte Hai

Jab Muhammad Ka Naam Aata Hai
Rehmato Ka Payaam Aata Hai
Lab Hamaare Durood Parte Hai
Dil Hamaare Salaam Kehte Hai

Allah Allah Huzoor Ke Gesu
Bheeni Bheeni Mehakti Woh Khushboo
Jinse Ma’moor Hai Fazaa Harsu
Woh Nazaara Salaam Kehte Hai

Zaire Taiba Tu Madine Me
Pyare Aqa Se Itna Keh Dena
Aap Ki Garde Raah Ko Aqa
Besahare Salaam Kehte Hai

Zikr Tha Aakhari Mahine Ka
Taz Karaa Chir Gayaa Madine Ka
Hajiyo Mustafa Se Keh Dena
Ghum Ke Maare Salaam Kehte Hai

Taajdaare Haram Aey Shahen-shahe Deen Salam Lyrics

Taajdaare Haram Aey Shahenshahe Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Ho Nigahe Karam Hum Pe Sultaane Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam


Koi Husne Amal Paas Mere Nahin
Fas Na Jaoon Qayamat Me Maula Kahin
Aey Shafiey Umam Laaj Rakhna Tumhi
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam


Maut Ke Waqt Kardo Nigahe Karam
Kaash Is Shaan Se Ye Nikal Jaaye Dam
Sange Dar Par Tumhaare Ho Meri Jabi
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam


Door Rah Kar Na Dam Toot Jaaye Kahin
Kaash Taiba Me Aey Mere Maahe Mubeen
Dafan Ho Ne Ko Mil Jaaye Do Gaz Zami
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam



Phir Bulaalo Madine Me ‘Attar’ Ko
Yeh Tarap Ta Hai Tayba Ke Deedar Ko
Koyi Iske Siva Aarzoo Hi Nahi
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain Naat Lyrics

Lo Madine ki tajjali se lagaye huwe hain
Dil ko ham matlay- e – anwaar banaye huwe hain


Kashtiyaan apni kinaare pey lagaye huwe hain
Kya woh doobey jo Muhammad key taraaye huwe hain


Naam aane sey Abu Bakr o Umar ka lab par
Tu Bigerta hay woh pehloon mein sulaye huwe hain


Hazir o Nazir o Noor o Bashar o Ghaib ko choorh!
Shuker kar woh tere ‘aibon ko chupaye huwe hain


Ik jhalak aaj dikha Gumbad- e- Khazra ke Makeen
Kuch bhi hain, door se deedar ko aaye huwe hain


Sar pey rakh deejiye zara  dast- e- tassali Aqa
Ghum key maare hain zamane ke sataye huwe hain


Sharm e isian say nahen samny jaya jata
Yeh bhi kiya kam hay tery shaher main aye huwe hain


Teri nisbat hi to hay jis ki badaulat hum log
Kufr key daur mein, Emaan bachaaye huwe hain


Kaash deewana bana lein woh hamein bhi apna
Aik dunya ko jo deewana banaye huwe hain


Bosa-e dar se na rouk ab to inhe aey darbaan
Khud nahi aye yeh mehmaan bulaye huwe hain


Qabr ki neend se uthna koi aasan na tha
Hum to Mehshar mein Unhe dekhne aaye huwe hain


Kyun na palrha terey aamal ka bharee ho Naseer
Ab to Mizaan pey Sarkaar bhi aaye huwe hain

Hain Teri Inayat Ka Ghera Meray Ghar Main Naat Lyrics


Hain Teri Inayat Ka Ghera Meray Ghar Main
Sab Tera Hai Kuch Bhi Nahi Mera Meray Ghar Main

Andaaz Meray Ghar Kay Bhi Kuch Aur He Honghay
Jis Roz Kadam Ayaigha Tera Meray Ghar Main


Darwazay Pay Likha Hai Tera Ismay Girami
Ataa Nahi Bhulay Say Andhayra Meray Ghar Main

Mudat Say Meray Dil Main Hain Armanay Ziyarat
Ho Jayai Karam Ka Koi Phera Meray Ghar Main


Jaga Teri Nisbat Say Shabay Ghum Ka Mukadar
Aya Teray Anay Say Sawayra Meray Ghar Main



Khalid Ko Teray Naam Say, Tokeer Mily Hain
Jo Khuch Hain Yeh Ehsan Hai Tera Meray Ghar Main

Naatein Sarkar Ki Padta Hoom Main Naat Lyrics

Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.


Ye Suna Hey Kay Bahot Ghor Andheri Hogi
Qabar Ka Khowf Na Rakna Ey Dil
Wahan Sarkar E Madina (Do-allam) Ki Ziarat Hogi


Unko Mukhtar Banaya Hey Merey Mola Ney
Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
Jisko Hasnain Kay Baba Ki Ijazat Hogi


Hashr Ka Din Bhi Ajab Deykna Vala Hoga
Zulf Lehra Key Woh Jab Ayengey
Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi



Mera Daman to Gunaho Sey Bhara Hey Iltaf
Ik Sahara Hey Kay Mein Unka Hoon
Issi Nisbat Sey Sar-e-hashr Shifa-at Hogi.

Ye Naaz Ye Andaaz Hamarey Nahi Hotay Naat Lyrics

Yeh Naaz Yeh Andaaz Humaarey Nahin Hotay
Jholey Mein Aghar Tukray Tumhaaray Nahin Hotay


Miltey Na Aghar Bheekh Huzoor Aap Kay Dar Say
Us T’h’aath Say Manghto Kay Ghuzaaray Nahin Hotay


Daamaan-E-Shifaa’at Mein Humein Kaun Chupaataa
Sarkaar Aghar Aap Humaaray Nahin Hotay


Bay Daam Hey Bhikh Jaaey Baazaar-E-Nabi Mein
Us Shaan Kay Soday Mein Khusaaray Nahin Hotay


Yeh Nisbat-E-Sarkaar Ka Ejaaz Hein Warnaa
Toofaan Say Namoodaar Kinaraay Nahin Hotay



Khalid Yeh Tasaduq Hein Faqat Naat Ka Warnaa
Meheshar Mein Teray Waaray Niyaaray Nahin Hotay

Main tu Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics

Main to khud Unke dar ka gada hoon
Apne aqa ko main nazr kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai
Varna qadmon mein aankhein bichha doon


Aane waali hai unki sawari
Phool naaton ke ghar ghar saja doon
Mere ghar mein andhera bohot hai
Apni palkon pe shamme jala doon


Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai
Saamne mere aqa ka dar hai
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai
Tumko lafzon mein kaise bata doon


Mere aansu bahut kheemti hain
Inse waabasta hai unki yaadein
Inki manzil hai khak-e-madeena
Ye gohar yun hi kaise luta doon


Main faqat Aap ko jaanta hoon
Aur usi dar ko pehchanta hoon
Is andhere mein kisko pukaroon
Aap farma’aein kisko sada doon


Qaafilay jaa rahe hain Madeene
Aur hasrat se main tak raha hoon
Ya lipat jaoon qadmon se unke
Ya qaza ko main apni sada doon


Meri bakhshish ka saamaan yahi hai
Aur dil ka bhi armaan yahi hai
Ek din Unki khidmat mein jaakar
Unki naatein unhi ko suna doon



Mujhko Iqbaal nisbat hai unse
Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai
Main jahaan naat apni suna doon
Saari mehfil ki mehfil jaga doon

Yaad e Mustafa Aisi Baas Gayi Hain Seena Main Naat Lyrics

Yaad-E-Mustafa aisi bas gayi he seene mein
Jism ho kahin apna dil to hai Madine mein


Kon he ye deewana kis ka he ye deewana
Hashar mein bhi kehta he jaana he Madine mein


Kon si jaga un ke aashiqon say khaali he
Har jaga he parwane shamma he Madine mein


Mere kamli wale ka ghar to he Madine mein
Haa magar wo rehte hein aashiqon ke seene mein


Baad mere marne kay har zubaan pay charcha tha
Aadmi to acha tha margaya Madine mein



Kaash un ke kuuche se layenge saba peghaam
Chal tujhe bulaate mein Mustafa Madine mein

Kova Nabi Se Anaa Sake Ham Rahat HI kuch Aisi thi Naat Lyrics

Koo-e-Nabi se aana sa ke ham,rahat hi kuch aisi thi
Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi


Takte rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke chehre ko
Jab poocha to kehne lage woh, Surat hi kuch aisi thi


Bolo ehh Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
To kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi


Duniya me sarkar ki naat parte rahe har ek lamha
Qabr me bhi thi naat labaon parr, aadat hi kuch aisi thi


Paas bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, chahat hi kuch aisi thi

Akbar-o-asghar aur yeh ghazi deen pe ware has has kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi




Qabr mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, nisbat hi kuch aisi thi

Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti naat Lyrics

Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali
Farde isiyan meri mujh se le kar, Kali Kamli mein Apni chupali


Woh aata par ata karne wale, Aur ham bhi nahin talne wale
Jaisi deodi he waise bhikari, Jaisa Data hein waise sawali


Mein gada hoon magar kis ke dar ka, Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein
Yeh Ghulami bardi mustanad he, Mere sar par he taj-e-Bilali


Mein Madine se kya agaya hun, Zindagi jaise bujh si gayi hai
Ghar ke andar faza soni soni, Ghar key bahar sama khali khali


Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa, Ab safar ki zuroorat nahin hai
Unke qadmon mein meri jabeen hai, Aur haathon mein Roze ki Jali



Mein faqat naam lewa hun Unka, Unki tawseef mein kya karoonga
Mein na Iqbal, Khusro na Saadi, Mein na Qudsi na Jami na Hali

Jo Ho Chuka ha Jo Hoga Huzoor Jante Hain Naat Lyrics (Owais Raza Qadri)

Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain

 Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain

Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain

Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain

Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko,
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain

Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain

Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain


Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain

Be Khud ki Ye daytay hain Andaz hijabana Naat Lyrics


Be khud ki yai daytay hain andaaz hijabana
Aa dil mey toojhay rakh loon aey jalwae janana


Kyun aankh mila’ee thi kyun aag laga’ee thi
Ab rukh ko chupa beytay kar kay mujhay deewana


Jis ja nazar aatay ho sajday wahi kartha hon
Iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana


Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhain ankheyn
Darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana


Mey howsh howaas apnay iss baat pey kho beytha
Hans kar jo kaha tu nay aaya mera deewanah


Duniya mey mujhay tu nay gar apana banaya hey
Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah


Ithna to karam karna aey nargis mastana
Jab jaan labo par ho tum deed kara janana


Maidane mehshar me tum saath khaday rehna
Na jane khuda kuch pooche, aur na jane kya kehde ye deewana


Peenay ko tho peelon ga, bus shart zara si hey
Ajmer ka saki ho, Baghdad ka mehana


Sar shaar muje kar dei aik jaam laba lab sai
Tahashar-e rahe saki abaad ye maikhana


Dil apne chamak uthee maan ki talat see
Kar ankheen bhi noraani aa jalwa aa janana


Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana



Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key
Choowta hey na choowtay ga sang dar jananah

Gunaahon ki Aadat Chura mere Mola Lyrics

Gunaahon ki aadat chura mere mola
Mujhe naik insaan bana mere mola


Jo tujhko, jo teray Nabi ko pasand hai
Mujhay aisa banda bana mere mola
Mujhay neik insan bana meray mola


Tu masjood mera, mein sajid hoon tera
Tu malik mein banda tera mere mola
Mujhay neik insan bana meray mola


Tu lay ga agar adl se kaam apne
Mein hoon mustahiq naar ka mere mol
Mujhay neik insan bana meray mola


Jo rehmat teri shaamil-e-haal ho to
Thikana hai jannat mera mere mola
Mujhay neik insan bana meray mola


Tujhe to khabar hai mein kitna bura hoon
Tu aibun ko mere chupa meray mola
Mujhay neik insan bana meray mola


Meri ta-qiamat jo naslein hoin Ya Rab (SWT)
Hon sab Ashiq-e-Mustafa (SAW) meray mola
Mujhay neik insan bana meray mola


Na muhtaj kar tu, jahan mein kisi ka
Mujhe muflisi say bacha mere mola
Mujhay neik insan bana meray mola



Hain kaabay pe nazrein Ubaid-e-Raza ki
Ho maqbool har ek dua mere mola
Mujhay neik insan bana meray mola

Koi Kaysai Samaj Payayga Rutba Ghousay Azam Ka (Manqabat) Lyrics


Koi Kaysai Samaj Payayga Rutba Ghowsay Azam Ka,
Har Ehlay Dil Kai Sinay Par, Hai Siqa Ghowsay Azam Ka.


Hussainey Aurra Hassaney Martaba Allah Nai Bakhsa,
Bara Ali Gharana Hai, Gharana Ghowsay Azam Ka.


Hazaro Mushkilay Anyain Koi Bhi Ghum Nahi Hum Ko,
Hamaray Wasatay Kafi, Hai Nara Ghowsay Azam Ka.


Barowz-E-Hashr Jab Poochay Ga Kya Layay Ho Dunya Sai,
To Payshay Rab Main Kar Doonga, Hawala Ghowsay Azam Ka.


Muredi La Takhaf Allah-Ho-Rabi Unka Farma Hai,
To Phir Main Kaysai Ghubrawoon, Hoon Banda Ghowsay Azam Ka.

Kadam Hai Aap Ka Har Aikh Wali-Allah Ki Ghardan Par,
To Phir Janai Ga Kaysai Koi Rutba Ghowsay Azam Ka.


Teray Darbaar Main Aayain Tamana Hain Ghulamo Ki,
Inhi Aankho Sai Daykhai Hum, Bhi Rowza Ghowsay Azam Ka.


Humay Bhi Ho Ata Sadqa Hussainey Aurra Hassaney Ka
Tamana Lai Kai Aya Hai, Hain Mangta Ghowsay Azam Ka.


Ba Fayzay Hazrat-E-Madni Milay Sadqa Madinay Ka,
Wasila Laykai Aya Hai, Yai Mangta Ghowsay Azam Ka.



Aai “Faruq-Ashrafi” Tu Bhi, Chal Unkai Aasatanay Par,
Jahan Par Har Ghari Batata, Hain Sadqa Ghowsay Azam Ka

Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hai Naat Lyrics

Syed Ne Karbala Mein Waadhe Nibha Diye Hai,
Deen-E-Muhammadi Ke Gulshan Khilya Diye Hai.

Bole Hussain Maula, Teri Raza Ki Khaatir,
Ik Ik Kar Ke Maine Heereh Luta Diye Hai.

Deen-E-Nabi Pe Waari, Akbar Ne Bhi Jawaani,
Abbas Ne Bhi Apne Bazoo Kata Diye Hai.

Zainab Ke Baag Mein Bhi Do Pool Teh Mehkhateh,
Zainab Ne Wo Bhi Donoh Raah-E-Khuda Diye Hai.

Zahra Ke Naaz Paaleh, Jooloh Pe Soneh Wale,
Karbala Ki Haak Mein Wo Heereh Luta Gaye Hai.

Bakhshish Hai Unki Laazim, Syed Ke Gham Mein Hafiz,
Do Chaar Ansoo Roh Kar Jisne Baha Diye Hai.

Syed Ne Karbala Mein Waadhe Nibha Diye Hai,
Deen-E-Muhammadi Ke Gulshan Kilya Diye Hai.

Ham Apne Nabi Paak Se Yun Pyar Karenga Naat Lyrics (Hafiz Tahir Qadri)

Ham Apne Nabi Paak Se Yun Pyaar Karenge
Har Haal Mein Sarkar Ka Milad Karenge

Jashne Wiladat Ki Raunak Pe Yaaron
Marte Hai Sunni Marte Rahenge
Apne Nabi Ki Azmat Ka Charcha
Karte Hai Sunni Karte Rahenge

Kuchh Jalne Waale Dekh Ke Kehte Hai Hamesha
Sarkar Ki Aamad Pe Lagate Ho Kyun Paisa
Yeh Paisa toh Kya Cheez Hai Ham Ghar Bhi Lutadein
Koi Nahin Jahan Mein Sarkar Ke Jaisa

Mere Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa
Pyaare Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa
Lajpal Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa
Ghamkhar Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa

Sahibe Mehraj Nabi Aasiyon Ki Laaj Nabi
Nabiyon Ke Sartaj Nabi Kal Bhi The Aur Aaj Nabi
Do Jahan Ke Raaj Waale Mere Nabi Aa Gaye

Har Kharji Fasadi Watan Se Bhagayenge
Padh Ke Durud Sabko Miladi Banayenge
Layenge Ham Huzur ka Islam Takht par
La-Deeniyat Ke Saare Buton Ko Girayenge

Taklif Hoti Hai Tujhe Mirchi Bhi Lagti hai
Jab Barwih Pe Lighton Se Galiyan Bhi Sajti hai
Kyun Chidta Hai Tu Dekh Ke Jandon Ki Baharen
Tazime Nabi Ho Toh Sabhi Achi Lagti Hai

Nisar Teri Chahel Pehel Par
Hazaron Eidein Rabi ul Awwal
Siwaye Iblis ke Jahan mein
Sabhi toh Khushiyan mana rahe hein

Lalach Na Do Ham Naame Muhammad Pe Marenge
Milad Pe Samjhota Kiya Hai Na Karenge
Bardasht Na Karenge Juluson Pe Rukawat
Milade Muhammad Ka Mission Jari Rakhenge

Tera Khawan Mai Tere Geet Gawan Ya RasulAllah
Tera Milad Mai Kyun Na Manawan Ya RasulAllah

Taleem Pehle Dunga Muhammad Ke Jashn Ki
Tehzeeb Sikhaunga Muhammad Ke Jashn Ki
Virse Mein Chhod Jaunga Milad Ki Lagan
Mere Bhi Bacche Jashne Wiladat Manayenge

Mere Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa
Pyaare Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa
Lajpal Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa
Ghamkhar Nabi Aa Gaye Marhaba Ya Mustafa


Milad Ki Rally o Juluson Mein Le Ja Kar
Aulad Bhi Sarkar Pe Qurban Karenge


Kimat Jahan Mein Apni Ujagar Giraoge
Aaqa Ko Chhod Kar Kabhi Izzat Na Paoge
Mazbut Karlo Rishta Nabi Se Toh Jiyoge
Rishta Nabi Se Todoge Toh Tooth Jaoge


Sahibe Mehraj Nabi Aasiyon Ki Laaj Nabi
Nabiyon Ke Sartaj Nabi Kal Bhi The Aur Aaj Nabi
Do Jahan Ke Raaj Waale Mere Nabi Aa Gaye


Ham Apne Nabi Paak Se Yun Pyaar Karenge
Har Haal Mein Sarkar Ka Milad Karenge