Main kya bataun tamanna e zindagi kya hai Lyrice

 


Main kya bataun tamanna e zindagi kya hai,
Huzur aap salamat rahein kami kya haim

Mein Jante Hu ke Meri misad Hi kya hai

Karam huzoor ka Meri Zandagi kya hai

Chaman ke husn ko dekhun to kis tarah dekhun,
Tere jamaal ke aage ye roshni kya hai.

Meri namaaz yahi hai ki pujta hoon tumhein,
Mujhe khabar nahi aadab e bandagi kya hai.

Jab tak bika na tha to koi poochta na tha,
Tumne kharid kar humein anmol kar diya.

Aapki muhabbat ka har kadam sahara hai,
Aap hi ka gham mujhko zindagi se pyara hai.

Agar na dil mein tadap ho to aashiqui kya hai,
Mile na dard ki daulat to zindagi kya hai.

Main is ke waaste konain tere daaman mein, 
Tere gada ke liye taj khusravi kya hai.

Tere karam ka sahara hai zindagi meri,
Tera karam na ho shaamil to zindagi kya hai.

Fana ye unki muhabbat nawaziyan dekho,
Wo mujhse pooch rahe hain teri khushi kya hai.

Sarkar Apna Roza e Anwar Dikhaye

Sarkar apna rouza-e-anwar dikhaye,
Ham dard ke maro ko bhi taiba buliaye.

Guzray hamari zindagi gumbad ke saye me,

Bas esi zindagi hame Sarkar chahiye.

Aaqa yaha moujud hai Imaan hai mera,
Sab ya rasulallah ha ka nara lagayie.

Hum ko bhi ae Rasullah-e-Kuhda Rahmat jaha

Apne daiyre ka Paak Mangte Banyaiye

 

Dunia ki Khawshio ko mita kar khuloob se

Yaad-e- Rasool paak dil mai Basaiye

 

Banjai khuloso Aqidat ki ek Misaal

Sab ko darood Paak Nagma Suniaye.

 

Bigde huve banjayege sab kam dosto,
Muskil me zara aaqa ko dil se pukarye.

Jaye kahan dar chhod kar ham aap ka shaha,
Ham aasiyo ko apne daman me chhupaiye.

Koy Nabi se Ana sa ke hum Rahat hi kuch aisi thi

 

Koay Nabi se ana sa ke hum,  rahat hi kuch aisi thi

Yaad rahi na jannat hamko,  jannat hi kuch aisi thi

Takte rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke chehre ko
Jab poocha to kehne lage woh, surat hi kuch aisi thi

Bolo eh Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
Toh kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi

Duniya me sarkar ki naat parte rahe har ik lamha
Qabr me bhi thi naat labon parr, Aadat hi kuch aisi thi

Akbar-o-asghar aur yeh ghazi deen pe ware has has kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi

Paas bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, chahat hi kuch aisi thi

Qabr mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, nisbat hi kuch aisi thi

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics

Alwada Alwada Mahe Ramzan

Qalbe -Aashiq He Ab Para Para

Alwada Alwada Mah-e-Ramazan

 

Tere Aane Se Dil Khush Huwaa Tha

Aur Zoake -Ibadat Badhaa Tha

Aah Ab Dil Pe He Gam Ka Galbaa

Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan

 

Naikiyan Kuchih Na Hum Kar Saken Hien

Aah Issiya Hi Me Din Katain Hen

Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzaara

Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

 

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo

Nazar Chand Aksh mein Kar Rahaa Hoo

Yehi Hai Mera Kul Asasaaa

Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

 

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi

Khoob Sehri Ki Ronak Bhi Hotee

Sub Sama Hogaya Suna Suna

Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

 

Tere Diwane Sub Ro Rahe He

Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe He

Kaun Dega Inhe Ab Dilasa

Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

 

Jub Guzar Jayenge Mah Giyaraa

Teri Aamad Ka Phir Shoor Hoga

Kya Bharosaa Meri Zindagi ka

Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

 

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum

Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum

Phir Madiney Mai Ramadan Dikhana

Alwada Alwada Mah-e-Ramadan

 

Waasta Tujh Ko Payare Nabi Ka

Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana

Roz-e-Mehshar Hamain Bukhshwana

 Roz-e-Mehshar Hamain Bukhshwana  (Aameen)

Alwada Alwada Mah-e-Ramadan

 

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai

Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee He

Keh Raha Hai Har Aik Qatra

Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

 

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran

Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara

Alwada Alwada Mah-e-Ramadan

ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN

ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN

Share this