Koy Nabi se Ana sa ke hum Rahat hi kuch aisi thi

 

Koay Nabi se ana sa ke hum,  rahat hi kuch aisi thi

Yaad rahi na jannat hamko,  jannat hi kuch aisi thi

Takte rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke chehre ko
Jab poocha to kehne lage woh, surat hi kuch aisi thi

Bolo eh Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
Toh kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi

Duniya me sarkar ki naat parte rahe har ik lamha
Qabr me bhi thi naat labon parr, Aadat hi kuch aisi thi

Akbar-o-asghar aur yeh ghazi deen pe ware has has kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi

Paas bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, chahat hi kuch aisi thi

Qabr mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, nisbat hi kuch aisi thi

1 comment: