Main kya bataun tamanna e zindagi kya hai Lyrice

 


Main kya bataun tamanna e zindagi kya hai,
Huzur aap salamat rahein kami kya haim

Mein Jante Hu ke Meri misad Hi kya hai

Karam huzoor ka Meri Zandagi kya hai

Chaman ke husn ko dekhun to kis tarah dekhun,
Tere jamaal ke aage ye roshni kya hai.

Meri namaaz yahi hai ki pujta hoon tumhein,
Mujhe khabar nahi aadab e bandagi kya hai.

Jab tak bika na tha to koi poochta na tha,
Tumne kharid kar humein anmol kar diya.

Aapki muhabbat ka har kadam sahara hai,
Aap hi ka gham mujhko zindagi se pyara hai.

Agar na dil mein tadap ho to aashiqui kya hai,
Mile na dard ki daulat to zindagi kya hai.

Main is ke waaste konain tere daaman mein, 
Tere gada ke liye taj khusravi kya hai.

Tere karam ka sahara hai zindagi meri,
Tera karam na ho shaamil to zindagi kya hai.

Fana ye unki muhabbat nawaziyan dekho,
Wo mujhse pooch rahe hain teri khushi kya hai.

1 comment: