Be Khud ki Ye daytay hain Andaz hijabana Naat Lyrics


Be khud ki yai daytay hain andaaz hijabana
Aa dil mey toojhay rakh loon aey jalwae janana


Kyun aankh mila’ee thi kyun aag laga’ee thi
Ab rukh ko chupa beytay kar kay mujhay deewana


Jis ja nazar aatay ho sajday wahi kartha hon
Iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana


Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhain ankheyn
Darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana


Mey howsh howaas apnay iss baat pey kho beytha
Hans kar jo kaha tu nay aaya mera deewanah


Duniya mey mujhay tu nay gar apana banaya hey
Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah


Ithna to karam karna aey nargis mastana
Jab jaan labo par ho tum deed kara janana


Maidane mehshar me tum saath khaday rehna
Na jane khuda kuch pooche, aur na jane kya kehde ye deewana


Peenay ko tho peelon ga, bus shart zara si hey
Ajmer ka saki ho, Baghdad ka mehana


Sar shaar muje kar dei aik jaam laba lab sai
Tahashar-e rahe saki abaad ye maikhana


Dil apne chamak uthee maan ki talat see
Kar ankheen bhi noraani aa jalwa aa janana


Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana



Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key
Choowta hey na choowtay ga sang dar jananah

No comments:

Post a Comment