Main tu Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics

Main to khud Unke dar ka gada hoon
Apne aqa ko main nazr kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai
Varna qadmon mein aankhein bichha doon


Aane waali hai unki sawari
Phool naaton ke ghar ghar saja doon
Mere ghar mein andhera bohot hai
Apni palkon pe shamme jala doon


Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai
Saamne mere aqa ka dar hai
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai
Tumko lafzon mein kaise bata doon


Mere aansu bahut kheemti hain
Inse waabasta hai unki yaadein
Inki manzil hai khak-e-madeena
Ye gohar yun hi kaise luta doon


Main faqat Aap ko jaanta hoon
Aur usi dar ko pehchanta hoon
Is andhere mein kisko pukaroon
Aap farma’aein kisko sada doon


Qaafilay jaa rahe hain Madeene
Aur hasrat se main tak raha hoon
Ya lipat jaoon qadmon se unke
Ya qaza ko main apni sada doon


Meri bakhshish ka saamaan yahi hai
Aur dil ka bhi armaan yahi hai
Ek din Unki khidmat mein jaakar
Unki naatein unhi ko suna doon



Mujhko Iqbaal nisbat hai unse
Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai
Main jahaan naat apni suna doon
Saari mehfil ki mehfil jaga doon

No comments:

Post a Comment